Hum Teri KHatir-e-nazuk Se KHatar Karte Hain

hum teri KHatir-e-nazuk se KHatar karte hain

warna nale to ye patthar mein asar karte hain

dil o din tha so liya aur bhi kuchh matlab hai

bar bar aap jo idhar ko nazar karte hain

faeda kya hai agar sharq se ta-gharb phire

rah-rau we hain jo hasti se safar karte hain

hum to har shakl mein yan aaina-KHane ki misal

aap hi aate hain nazar sair jidhar karte hain

kya ho gar koi ghaDi yan bhi karam farmao

aap is rah se aaKHir to guzar karte hain

tere ayyam-e-firaq ai sanam-e-mehr-ghusil

aah mat puchh ki kis tarah basar karte hain

din ko phirte hain tujhe DhunDne aur raat tamam

shama ki tarah se ro ro ke sahar karte hain

bas nahin KHub ki aise ko dil apna dije

aage tu jaan miyan hum to KHabar karte hain

ye wahi fitna-e-ashob-e-jahan hai 'bedar'

dekh kar pir o jawan jis ko hazar karte hain

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Teri KHatir-e-nazuk Se KHatar Karte Hain In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Hum Teri KHatir-e-nazuk Se KHatar Karte Hain is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Hum Teri KHatir-e-nazuk Se KHatar Karte Hain for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Hum Teri KHatir-e-nazuk Se KHatar Karte Hain in PDF.