Hum KHizan Ki Agar KHabar Rakhte

hum KHizan ki agar KHabar rakhte

aashiyane mein phul bhar rakhte

hum agar ishq mein asar rakhte

amradon ko ghulam kar rakhte

mere dil ko samajhte arsh-e-barin

ye sitare agar nazar rakhte

kya KHabar thi ki dam hai wo zulf

hum bhi faulad ka jigar rakhte

sath rang-e-chaman ke uD jate

aaj hum bhi jo baal-o-par rakhte

rah deta jo us ke aane ki

zagh ke aage hum jigar rakhte

yar ki donon aankhen qatil thin

ek nazar hum kidhar kidhar rakhte

bhed apna diya na us dil ne

hum bhi kuchh apni fikr kar rakhte

yahi shikwa hai be-wafaon se

hum na marte jo ye KHabar rakhte

sang-e-dil tujh ko jaante hum agar

sabr ki sil kaleje par rakhte

gundhte wo khajur se juTe aaj

hath apne jo kuchh hunar rakhte

aankhen ro ro ke kyun sajate ho

'bahr' aansu nahin asar rakhte

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum KHizan Ki Agar KHabar Rakhte In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Hum KHizan Ki Agar KHabar Rakhte is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Hum KHizan Ki Agar KHabar Rakhte for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Hum KHizan Ki Agar KHabar Rakhte in PDF.