Wo Aur Honge Jinko Haram Ki Talash Hai

wo aur honge jin ko haram ki talash hai

mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talash hai

main to gunahgar-e-mohabbat hun ai sanam

mujh ko teri nigah-e-karam ki talash hai

zahid sanam-kada meri manzil nahin magar

aashiq hun mujh ko apne sanam ki talash hai

main tera ho chuka hun zamane se kya gharaz

ai jaan-e-jaan mujhe tere gham ki talash hai

zahid talash karta hun apne sanam ko main

tujh ko sanam ke badle iram ki talash hai

le kar haram mein shaiKH gaya din ki talab

panDit ko but-kade mein dharam ki talash hai

hum aashiqon ka kya hai ye marzi hai yar ki

un ka sitam mile to sitam ki talash hai

mera dharam yahi hai ki mil jae tu mujhe

teri hi justuju mein haram ki talash hai

main to 'fana' hun ishq mein ai jaan kya kahen

tum jo ata karo usi gham ki talash hai

(1638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aur Honge Jinko Haram Ki Talash Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Wo Aur Honge Jinko Haram Ki Talash Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Wo Aur Honge Jinko Haram Ki Talash Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Wo Aur Honge Jinko Haram Ki Talash Hai in PDF.