Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin

tafazzulat nahin lutf ki nigah nahin

muamla abhi mutlaq wo ru-ba-rah nahin

ghalat hai aah ki hai dil ko dil se rah nahin

ki teri chah mujhe tujh ko meri chah nahin

ghulam hum to hain aise mizaj walon ke

kisi ke sath kisi Dhab ki jin ko rah nahin

hamari chori jo sabit hui dalil bhi kuchh

muqir nahin koi shahid nahin gawah nahin

tawazo aap ki hum kya karen bhala sahib

ba-qaul shaKHse is apne jigar mein aah nahin

rukhaiyan jo yahi hain to is tarah apna

nahin nahin nahin hargiz nahin nibah nahin

haram se dair mein yan aab-o-dana le aaya

ba-rabb-e-kaba mera is mein kuchh gunah nahin

na kuchh jihat na sabab qah-qah hanste ho

tumhaari KHush mujhe aati ye qah-qah nahin

kahun ba-qaid-e-qasam la-ilaha il-lallah

ki tab-e-hijr bas ab mujh mein ai ilah nahin

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin in PDF.