Dil-ruba Pahlu Se Ab UTh Kar Juda Hone Ko Hai

dil-ruba pahlu se ab uTh kar juda hone ko hai

kya ghazab hai kya qayamat hai ye kya hone ko hai

dushmani-e-KHalq meri rahnuma hone ko hai

ab mera dast-e-talab dast-e-dua hone ko hai

tu ne chaha tha bura mera bhala hone ko hai

aab-e-KHanjar halq mein aab-e-baqa hone ko hai

aaj to ji bhar ke pi lene de ai saqi mujhe

jaan hi jati rahegi aur kya hone ko hai

ai dil-e-pur-arzu kar de sar-e-taslim KHam

dekh kin hathon se KHun-e-muddaa hone ko hai

shoKH-raftari ka apni dekh to muD kar asar

sath sath uTh kar rawan har naqsh-e-pa hone ko hai

(483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-ruba Pahlu Se Ab UTh Kar Juda Hone Ko Hai In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Dil-ruba Pahlu Se Ab UTh Kar Juda Hone Ko Hai is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Dil-ruba Pahlu Se Ab UTh Kar Juda Hone Ko Hai for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Dil-ruba Pahlu Se Ab UTh Kar Juda Hone Ko Hai in PDF.