Wo Mast-e-naz Aata Hai Zara Hoshyar Ho Jaana

wo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana

yahin dekha gaya hai be-piye sarshaar ho jaana

hamara shaghl hai raaton ko rona yaad-dilbar mein

hamari nind hai mahw-e-KHayal-e-yar ho jaana

lagawaT se teri kya dil khule malum hai hum ko

zara si baat mein khinch kar tera talwar ho jaana

abas hai justuju bahr-e-mohabbat ke kinare ki

bas is mein Dub marna hi hai ai dil par ho jaana

nahin darkar mai hum ko piye ja tu hi ai saqi

hamein to mast karta hai tera sarshaar ho jaana

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mast-e-naz Aata Hai Zara Hoshyar Ho Jaana In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Wo Mast-e-naz Aata Hai Zara Hoshyar Ho Jaana is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Wo Mast-e-naz Aata Hai Zara Hoshyar Ho Jaana for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Wo Mast-e-naz Aata Hai Zara Hoshyar Ho Jaana in PDF.