Pas-e-parda Tujhe Har Bazm Mein Shamil Samajhte Hain

pas-e-parda tujhe har bazm mein shamil samajhte hain

koi mahfil ho hum us ko teri mahfil samajhte hain

baDe hoshiyar hain wo jin ko sab ghafil samajhte hain

nazar pahchante hain wo mizaj-e-dil samajhte hain

wo KHud kaamil hain mujh naqis ko jo kaamil samajhte hain

wo husn-e-zan se apna hi sa mera dil samajhte hain

samajhta hai gunah rindi ko tu ai zahid-e-KHud-bin

aur aise zohd ko hum kufr mein daKHil samajhte hain

samajhta hai ghalat laila ko laila qais diwana

nazar wale to laila ko bhi ek mahmil samajhte hain

saDi diwana saudai jo chahe so kahe duniya

haqiqat-bin magar 'majzub' ko aaqil samajhte hain

(467) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-parda Tujhe Har Bazm Mein Shamil Samajhte Hain In English By Famous Poet Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Pas-e-parda Tujhe Har Bazm Mein Shamil Samajhte Hain is written by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Read famous Poem Pas-e-parda Tujhe Har Bazm Mein Shamil Samajhte Hain for youth and Student by Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub. Free Download Pas-e-parda Tujhe Har Bazm Mein Shamil Samajhte Hain in PDF.