BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab

baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

TuTne lagte hain yaadon ke badan aaKHir-e-shab

sari duniya hai siyahi ke samundar ki tarah

chhin li waqt ne ek ek kiran aaKHir-e-shab

raushni ban ke dabe panw chala aata hai

un darichon se tera sanwala-pan aaKHir-e-shab

thak ke baiThi hai kahin dur musafir ki tarah

mere KHwabon se meri subh-e-chaman aaKHir-e-shab

har bun-e-mu se chhalakne lagi yaadon ki sharab

aur gulnar hua tera badan aaKHir-e-shab

ek ek KHwab yahin dafn hua hai 'saqib'

dekhna sog mein hai arz-e-dakan aaKHir-e-shab

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download BaDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan AaKHir-e-shab in PDF.