Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-e-wafa Kyun Hai

sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai

na jaane qurbaton ke nam se ye fasla kyun hai

andhere zahr barsane lage hain zindagani par

kisi ke pyar ka mahtab aise mein KHafa kyun hai

zara jab raat Dhalti hai to KHwabon ke jharoke se

hasin manus shaklon ka sawera jhankta kyun hai

bahaar aai faza mahki KHushi ne hath phailae

to phir ye zindagi aawara-e-dasht-e-wafa kyun hai

shab-e-gham kaT gai lekin ujalon se gale mil kar

sahar ki aarzu itni sahar na-ashna kyun hai

mere anfas se aati hai KHushbu-e-sahar kaisi

sukut-e-baam-o-dar mein aaj teri hi sada kyun hai

koi dil se nahin guzra to 'saqib' kaun batlae

kisi pazeb ki jhankar se dil gunjta kyun hai

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-e-wafa Kyun Hai In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-e-wafa Kyun Hai is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-e-wafa Kyun Hai for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Sahar Anjaan Si Maghmum Sa KHwab-e-wafa Kyun Hai in PDF.