Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai

raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai

lau charaghon ki shafaq ban ke bikhar jati hai

ghar ka aangan ho ki sahraon ka sannaTa ho

koi aawaz taaqub mein chali aati hai

kitna hassas hai ye aalam-e-tanhai bhi

phul khilte hain to zaKHmon se mahak aati hai

har nai subh teri yaad ka aansu ban kar

zindagi sham ki palkon se Tapak jati hai

aag lagti hai KHayalon ke ufuq-zaron mein

raushni mom ki manind pighal jati hai

dil ki galiyon se guzarta hai zamana koi

fikr-e-shair mein koi raat mahak jati hai

sochte chehron pe sadiyon ki thakan hai 'saqib'

jagti aankhon mein ab nind kahan aati hai

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Raat Jab ZaKHm Ke Aaine Se Takraati Hai in PDF.