Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath

juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath

shuur-e-zat nikharta hai inqalab ke sath

nazar uTha ke to dekho ufuq ke chehre par

meri ghazal ka taqaddus hai aaftab ke sath

azal se dasht-o-bayaban mein ghumti hai hayat

kabhi naqab se haT kar kabhi naqab ke sath

shafaq hai ya teri aankhon ki mauj-e-be-KHwabi

jo ghul rahi hai har ek qatra-e-sharab ke sath

guzar di hain kai intizar ki shamen

kuchh iztirab ki KHatir kuchh iztirab ke sath

mere wajud ki tanhaiyon ke zine se

utar raha hai sambhal kar koi hijab ke sath

riwayaton ke dawawin dekhne walo

nae mizaj ka chehra paDho kitab ke sath

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Juda Hai Dard Ka Mafhum Lafz-e-KHwab Ke Sath in PDF.