Koi KhiDki Jo Khuli Rahti Hai

koi khiDki jo khuli rahti hai

samne shakl wahi rahti hai

mere honTon pe hansi rahti hai

aag phulon mein dabi rahti hai

jaise har chiz pighal jaegi

dhup yun sar pe khaDi rahti hai

ab to KHwabon ke bhi aaine mein

waqt ki dhul jami rahti hai

meri tanhai ke darwaze par

jaane kyun bhiD lagi rahti hai

kitni qatil hai ye duniya lekin

kitni masum bani rahti hai

tez-rau waqt se aage 'saqib'

meri shorida-sari rahti hai

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi KhiDki Jo Khuli Rahti Hai In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Koi KhiDki Jo Khuli Rahti Hai is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Koi KhiDki Jo Khuli Rahti Hai for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Koi KhiDki Jo Khuli Rahti Hai in PDF.