Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De

manzil na koi moD na rasta dikhai de

aalam tamam dhund mein lipTa dikhai de

qatil dikhai de na masiha dikhai de

har shaKHs ek fareb-e-tamasha dikhai de

waise to zindagi hai ujalon ka shahr bhi

dekho to maqbaron ka andhera dikhai de

jaun udhar to ek samundar hai be-karan

dekho idhar to pyas ka sahra dikhai de

rangin hai qatl-e-gul se abhi daman-e-bahaar

dast-e-hawas se KHun Tapakta dikhai de

tahtush-shuur mein hai jo ek lamha-e-KHyal

lafzon ki siDhiyon se utarta dikhai de

sunta hun saaton mein nigar-e-sahar ki chap

manzar naqab-e-sham ulaTta dikhai de

DhunDo kisi hasin KHarabe mein zindagi

ye dil to sadhuon ka basera dikhai de

arz-e-dakan mein baat chali hai kuchh is tarah

'saqib' dayar-e-sher mein tanha dikhai de

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Manzil Na Koi MoD Na Rasta Dikhai De in PDF.