Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The

charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the

hum apne aap se itne khinche khinche to na the

fusun-e-chashma-e-sail-e-rawan ki umr-e-daraaz

un aansuon mein samundar ruke ruke to na the

shab-e-firaq un aankhon mein kaT gai hogi

mile wo kal bhi the lekin thake thake to na the

wo sans leti hui tishnagi wo nahr-e-furaat

labon pe pyas ke dariya thame thame to na the

wo aankh ab bhi samajhti hai ajnabi hum ko

magar hum ahl-e-nazar yun nae nae to na the

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Charagh-e-dard Kabhi Yun Bujhe Bujhe To Na The in PDF.