Ek Mauhum Si KHushi Ki Tarah
ek mauhum si KHushi ki tarah
tum mile bhi to ajnabi ki tarah
tirgi ke udas jangal mein
hum bhaTakte hain raushni ki tarah
gham-e-dauran sanwar dun tujh ko
apne giton ki dilkashi ki tarah
yaad-e-jaanan utar ke aai hai
shab ke zine se chandni ki tarah
mehrban ho ke sath chalti hai
zindagi dard-e-zindagi ki tarah
aarzu ka hasin sawera bhi
aaj naraaz hai kisi ki tarah
zindagi ka KHayal bhi 'saqib'
ruTh jae na zindagi ki tarah
(382) Peoples Rate This