Jalte Hue Kuchh Soch Ke Ek Pal Ko Ruka Tha

jalte hue kuchh soch ke ek pal ko ruka tha

aise bhi wo yaadon ko meri chhoD raha tha

aankhon mein thakan gard-e-mah-o-sal jabin par

ek shaKHs kahin dur dhundlakon mein mila tha

ab kyun hai udasi ka saman hadd-e-nazar tak

kal raat KHayalon mein koi jag raha tha

kyun maslahatan log use bhul gae hain

insan ki azmat ko salibon mein paDha tha

tanhai ke darwaze se yaadon ka samundar

lagta hai ki jazbaat mein sar mar raha tha

rah rah ke wo chehra mujhe yaad aata hai 'saqib'

dekha nahin ji bhar ke use kaun tha kya tha

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalte Hue Kuchh Soch Ke Ek Pal Ko Ruka Tha In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Jalte Hue Kuchh Soch Ke Ek Pal Ko Ruka Tha is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Jalte Hue Kuchh Soch Ke Ek Pal Ko Ruka Tha for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Jalte Hue Kuchh Soch Ke Ek Pal Ko Ruka Tha in PDF.