Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri

kabhi bahaar kabhi gul subu Thahri

wo aankh jo kisi jannat ki aab-ju Thahri

rusum-e-dard nibhaen ki aap ko chahen

yahi to shart-e-mulaqat du-badu Thahri

har ek pal mein hazaron Thahar gain sadiyan

nasim-e-subh-e-tamanna magar na tu Thahri

labon ki narm lapeTon mein ghulti ghulti shafaq

kahin lahu kahin rangini-e-subu Thahri

dar-e-firaq pe dam-bhar ko nikhat-e-sahari

tere KHiram ki manind hu-ba-hu Thahri

tumhaara lams moattar tumhaara jism bahaar

yahi to bahs gulabon ke ru-ba-ru Thahri

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Kabhi Bahaar Kabhi Gul Subu Thahri in PDF.