Aag ZaKHmon Ki Jala Kar Dekho

aag zaKHmon ki jala kar dekho

ji ko ek rog laga kar dekho

kitni masum hai rudad-e-hayat

KHud ko aaseb bana kar dekho

shikwa-e-nim-nigahi hai ghalat

phir to chehra hi mila kar dekho

kya kahen lafz-e-mohabbat hai garan

dil ke auraq uTha kar dekho

kitne chehre hain naqab-aluda

lau charaghon ki baDha kar dekho

apni bichhDi hui tanhai se

kyun na ek bar wafa kar dekho

bahti maujon ko qarar aa jae

naghma-e-dard suna kar dekho

kitne shaffaf hain yaadon ke badan

tum inhen hath laga kar dekho

dil ki jannat ko sukun kuchh to mile

dasht-o-sahra hi basa kar dekho

bistar-e-gul pe bahut raat gae

koi sota hai jaga kar dekho

un makanon mein makin koi nahin

waise zanjir hila kar dekho

nam apna bhi kahin hai ki nahin

mera diwan uTha kar dekho

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag ZaKHmon Ki Jala Kar Dekho In English By Famous Poet Meer Naqi Ali Khan Saqib. Aag ZaKHmon Ki Jala Kar Dekho is written by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Read famous Poem Aag ZaKHmon Ki Jala Kar Dekho for youth and Student by Meer Naqi Ali Khan Saqib. Free Download Aag ZaKHmon Ki Jala Kar Dekho in PDF.