Usne Kiya Hai Wada-e-farda Aane Do Usko Aae To

us ne kiya hai wada-e-farda aane do us ko aae to

nam badal dena phir mera lauT ke wapas jae to

arz-e-tamanna karenge us se agar na wo Thukrae to

us se zarur milenge ja kar pahle hamein bulae to

izzat-e-nafs ka hai ye taqaza husn-e-suluk karen donon

us ko hum labbaik kahenge rasm-e-wafa nibhae to

safha-e-zehn pe naqsh hai us ka mere abhi tak naz-o-niyaz

jaise sharmata tha pahle waise hi sharmae to

ruThne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur

main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to

kyun rahta hai mujh se bad-zan hai jo mera manzur-e-nazar

kuchh nahin aata meri samajh mein koi mujhe samjhae to

KHun-e-jigar se sinchunga gulzar-e-tamanna us ke liye

bagh-e-hayat mein gul-e-mohabbat aa kar mere khilae to

fasl-e-KHizan mein kya hoga aasar numayan hain jis ke

fasl-e-bahaar mein 'barqi' apne dil ki kali murjhae to

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Kiya Hai Wada-e-farda Aane Do Usko Aae To In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Usne Kiya Hai Wada-e-farda Aane Do Usko Aae To is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Usne Kiya Hai Wada-e-farda Aane Do Usko Aae To for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Usne Kiya Hai Wada-e-farda Aane Do Usko Aae To in PDF.