Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri

mil gai hai baadiya-paimai se manzil meri

kaam aai hai bil-aKHir sai-e-la-hasil meri

panw dharne ko mayassar aa nahin pati zamin

naw ruk jati hai aa kar jab lab-e-sahil meri

ek kami meri tag-o-dau mein kahin maujud hai

ho nahin pai abhi tak koi shai kaamil meri

mil nahin pati KHud apne-ap se fursat mujhe

mujh se bhi mahrum rahti hai kabhi mahfil meri

main yahin rah jaunga ho kar asir-e-dam-e-asr

rah takta hi rahega mera mustaqbil meri

kya bachaun dan mein kya dun samajh aata nahin

daulat-e-dil mangta hai mujh se ek sail meri

koi apne se gila hota na 'sajid' dahr se

ghaur se ek baat sun leta agar ye dil meri

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Mil Gai Hai Baadiya-paimai Se Manzil Meri in PDF.