Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan Kaun Dekhega

sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan kaun dekhega

asir-e-zulf ho kar sham-e-hijran kaun dekhega

gulon ki dilkashi fasl-e-bahaaran kaun dekhega

na honge jab hamin rang-e-gulistan kaun dekhega

shab-e-gham tum na aae gham nahin gham hai to ye gham hai

mere daman pe ashkon ka charaghan kaun dekhega

gudaz-e-shama ki surat jawaz-e-gham karo paida

ye parwano tumhaara soz-e-pinhan kaun dekhega

qayamat mein labon par shikwa-ha-e-pur-jafa la kar

teri masum fitrat ko pasheman kaun dekhega

yaqinan shauq ke pardon ko bhi aankhon se uThna hai

nahin to hashr mein kal ru-e-jaanan kaun dekhega

gareban phaD kar 'jumbish' chalo phulon ki mahfil mein

ye sahra hai yahan haal-e-pareshan kaun dekhega

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan Kaun Dekhega In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan Kaun Dekhega is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan Kaun Dekhega for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Sawad-e-manzar-e-KHwab-e-pareshan Kaun Dekhega in PDF.