Jis Ko Chaho Tum Usko Bhar Do

jis ko chaho tum us ko bhar do

mah ko nuqra mehr ko zar do

pir-e-mughan se arz ye kar do

dakhkhin baKHsho agar saghar do

aah ye donon aafat-e-jaan hain

naz-o-ada lanat bar har do

ji jalta hai aah ke jhonko

sham-e-mohabbat ko gul kar do

qatra-fishani kya ai aankho

aise barso jal-thal bhar do

bulbulo sayyaad aaj KHafa hai

halq chhuri ke niche dhar do

jaan un aankhon se na bachegi

ye hai idhar tanha wo udhar do

dam ki aamad-o-shud kya kahiye

zoaf ki rah se hain ye safar do

apna gala KHud kaTte hain hum

dam lo chhuri ki tale be-dardo

jaan-o-mal fida karne mein

fikr-o-taraddud ai na-mardo

arz ye hai naqqash-e-azal se

hub ke naqsh mein yar ko ghar do

daulat-e-dil tum to hazir hai

KHatt-e-ezar tamassuk kar do

shukr-guzar ba-har-surat hain

zahar hamein do ya shakkar do

aankhon mein hai mawad-e-girya

'bahr' in phoDon ko nashtar do

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ko Chaho Tum Usko Bhar Do In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Jis Ko Chaho Tum Usko Bhar Do is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Jis Ko Chaho Tum Usko Bhar Do for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Jis Ko Chaho Tum Usko Bhar Do in PDF.