Jazb-e-ulfat Ne Dikhaya Asar Apna UlTa

jazb-e-ulfat ne dikhaya asar apna ulTa

aah jab honThon par aai to kaleja ulTa

raat-bhar baiThe rahe muntazari mein us ki

subh jab ho gai hasrat se bichhauna ulTa

haq-ba-jaanib hai agar hum se wo mahwash phir jae

chalan aflak ka aundha hai zamana ulTa

ja-e-hairat hai jo nafrat na ho KHud-bini se

nazar aata hai is aaine mein chehra ulTa

zinat-e-rang-e-baqa chahte hain naqsh-e-fana

us muraqqe ka dikhai diya naqsha ulTa

malgaji chadar-e-mahtab nazar aane lagi

us ne chehre se jo sote mein dupaTTa ulTa

ab to yaron se bhi yari ki tawaqqoa na rahi

haal-pursi ke ewaz karte hain shikwa ulTa

qufl darwaze mein kyun aaj nazar aata hai

kaun jhanka tumhein kis shaKHs ne parda ulTa

mar gaya main jo mujhe pyar se mara us ne

sidhi talwar hua us ka tamancha ulTa

mai-kada chhoD ke kyun KHum mein falatun baiTha

aisi hi aql ne yunan ka taKHta ulTa

maraz-e-ishq mein aaram kisi taur nahin

kabhi sidha jo dam aaya to kaleja ulTa

phir ulaT kar na KHabar li hue aise ghafil

ab to aao ki main dam leta hun ulTa ulTa

na to wo phul na kaliyan na wo sabza na bahaar

rut ki phirti hai chaman-zar ka taKHta ulTa

ek jalwa to bhala aur bhi waqt-e-ruKHsat

bahr-e-gul baad-e-bahaari koi jhonka ulTa

'bahr' kya kucha-e-jaanan se phire ghar ki taraf

kabhi dekha nahin bahte hue dariya ulTa

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazb-e-ulfat Ne Dikhaya Asar Apna UlTa In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Jazb-e-ulfat Ne Dikhaya Asar Apna UlTa is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Jazb-e-ulfat Ne Dikhaya Asar Apna UlTa for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Jazb-e-ulfat Ne Dikhaya Asar Apna UlTa in PDF.