Hain Gardishen Bhi Rawan BaKHt Ke Sitare Mein

hain gardishen bhi rawan baKHt ke sitare mein

tabah main hi nahin wo bhi hai KHasare mein

nigah pher li us ne chhupa liye aansu

magar bala ki kashish thi us ek nazare mein

talatumon ki sifat ishq mein rahi har-dam

safina dil ka musalsal hai tez dhaare mein

jala sake jo dil-o-jaan wahi nazar qatil

wagarna soz-o-tapish hai kahan sharare mein

tamam raat hawaon se guftugu karna

ajab hai shauq mohabbat ke har sitare mein

talluqat nibhana bhi ek fan hai miyan

main tere miThe mein shamil na tere khaare mein

udas lamhon mein 'zakir' wo jab mila mujh se

nazar uTha ke kaha kuchh na apne bare mein

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Gardishen Bhi Rawan BaKHt Ke Sitare Mein In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Hain Gardishen Bhi Rawan BaKHt Ke Sitare Mein is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Hain Gardishen Bhi Rawan BaKHt Ke Sitare Mein for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Hain Gardishen Bhi Rawan BaKHt Ke Sitare Mein in PDF.