Soz-e-gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum To Ho

soz-e-gham chiz hai kya kuchh hamein malum to ho

ye maraz hai ki dawa kuchh hamein malum to ho

roz-o-shab hoti rahe taza qayamat barpa

zindagani ka maza kuchh hamein malum to ho

hum bhi parwana-mizaji ka dikhaen aalam

qimat-o-qadr-e-wafa kuchh hamein malum to ho

phir laga lenge kabhi chand sitaron ka suragh

pahle KHud apna pata kuchh hamein malum to ho

aap ke lutf se mahrum jo hum rahte hain

kis KHata ki hai saza kuchh hamein malum to ho

dil ki dhaDkan na sahi aap ki aahaT hi sahi

saz-e-hasti ki sada kuchh hamein malum to ho

jaan-o-dil hum bhi karen nazr-e-mohabbat 'mansha'

itni mehnat ka sila kuchh hamein malum to ho

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soz-e-gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum To Ho In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Soz-e-gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum To Ho is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Soz-e-gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum To Ho for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Soz-e-gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum To Ho in PDF.