Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren

jagah jagah se shikasta hain KHam hain diwaren

na jaane kitne gharon ka bharam hain diwaren

chhaton ka zikr hi kya un ko le uDi hai hawa

ab hadsat ke zer-e-qadam hain diwaren

barasti barishon mein hongi mojib-e-KHatra

abhi to dhup mein abr-e-karam hain diwaren

hamare KHeme tanabon ke bal pe qaem hain

chhaten to KHub mayassar hain kam hain diwaren

qadim shahron mein har-su qadam qadam bikhri

purani rah-guzaron mein zam hain diwaren

kahin dariche hain shan-o-shikoh ke marsiyan-KHwan

kahin mazar-e-waqar-o-hasham hain diwaren

ye fart-e-girya-o-zari ka hai asar 'mansha'

zamin makanon ki gili hai nam hain diwaren

(567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren In English By Famous Poet Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren is written by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Read famous Poem Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren for youth and Student by Mohammad Mansha Ur Rahman Khan Mansha. Free Download Jagah Jagah Se Shikasta Hain KHam Hain Diwaren in PDF.