KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain

KHayal-o-KHwab mein Dubi diwar-o-dar banati hain

kunwari laDkiyan aksar hawa mein ghar banati hain

kabhi ghamza kabhi ishwa kabhi shoKHi kabhi masti

adaen bankpan mein sandali paikar banati hain

hisen aanchal mein pinhan kahkashaen raat hone par

ghani zulfon pe raqsan dilruba manzar banati hain

jhuki palkon pe Thahre aansuon par ho guman aisa

ki jaise sipiyan aaghosh mein gauhar banati hain

mohabbat ka karishma hai ki ulfat ki karamat hai

hasinaen taKHayyul mein mah-o-aKHtar banati hain

lagegi par kaise kashti-e-dil soch lo 'zakir'

talatum-KHez nazren rose jab saghar banati hain

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain in PDF.